Shatranj
Shatranj ke do rangon mai Jo duniya ye badal si jati
Kale safed achche bure mai jo duniya ye bat si jaati
Chaalen saari samne hoti, peeche koi vaar na karta
Maasumiyat ki chadar odhe koi shadyantra na aage badta
Sab dikhte sab samajh bhi aate
duniya kitni saral ho jaati
Shatranj ke do rangon mai Jo duniya ye badal si jati
Kale safed achche bure mai jo duniya ye bat si jaati
Andheraa
Andhera Ghana hai kaala bada hai
Neendon se raabta choota Zara hai
Thakan se bojhal jhuki si aankhe
Band kyun na hona chahen bata de
Sapna jo bin dekhe hi tha toota
Chalna tha sang haath Tera kyun choota
Jeene ki ichcha yu dab si Rahi hai
Jaane kab se ye duvidha lagi si Hui hai
Koi sang nahi, ye zamana Kahan hai
Aaine mai bhi toh sannanata hi khada hai
Andhera Ghana hai kaala bada hai
Neendon se raabta choota Zara hai